GPS Kya hai – Global Positioning System Kya hai – जीपीएस क्‍या है

Aaj ka Daur Digital aur Computer Science ka daur hai. Is Term me aaj kal GPS ki charcha Zoro Par hai .Aakhir ye GPS hota kya hai ?  Dosto aaj ki is post ke madhyam se hum ye janne ka prayas karenge ki GPS kya hai. First of All GPS ka full Form dekhte hain . GPS –Global Positioning System  ग्लोबल पोजिशनिंग सिस्टम ek Satellite aadharit navigation System hota hai jo location aur samay jaisi soochnaye pradan karta hai. Is System ko USA ke Department of Defence ne banaya tha jo ki 24 aur 32 Medium Earth Orbit ke Mirco weight  Signal ki sateek jankari deta hai. Us time ye technology  kewal American Army hi upyog kar sakati thi, Jise badme 27 April 1995 me sabhi logo ke upyog ke liye manzoori de di gayi.

Is technology ka upyog ab bahot hi bade star par hone laga hai,  jaise ki Map banane ke liye, Kisi bhi Location ko  track karne ke liye, Navigation ke liye. GPS kisi bhi place ya Location ki jankari dene ke sath sath samay ki bhi jankari deta hai. GPS ka upyog aaj bahut hi vyapak start pe ho raha hai .Gps location aur time ke sath hi kisi bhi jagah ka pure din ka mausam bhi batane batane me kam aata hai

In Dino iss Technology ka upyog  har ek Smartphone aur mobile devices  me ho raha hai, Jisase aap apni location check kar sakte hai, aur kisi bhi jagah ka distance jan sakte he. Ye system Aircraft, Train aur Bus jaisi transportation service me bahut hi upyogi saabit hua hai.Iss technology ki help se aap distance ke sath height bhi accurate tarike se check kar sakte hai. Ab aap jan gaye honge ki GPS Kya hai.

GPS Kya hai aur GPS kaam kaise karta hai?

Ye GPS Kya hai ye to aap jan gaye honge but GPS kaam kaise karta hai wo jante hai. Global Positioning System GPS Satellite se work karta hai. Jiske liye America ne 50 se bhi jyada GPS satellite launch kiye hai. Wo satellites 24 hours earth par signal bhejte rahte  hain. Un signals ko receive karne ke liye hame ek GPS receiver ki zarurat hoti hai . GPS Receiver apni jagah ka Guess Earth ke upar chakkar  lagane wale GPS satellite ke  group ke dwara bheje jane wale signals ke aadhar pe karta hai. Har ek satellite 24 hours GPS Ke signal bhejata rehata hai. Receivers un signals ka time aur us satellite ka distance bhi receive karate hai.
Matlab ye ki Receviers kayi saari jankariyan Receive karte hain .  Receiver better result ke liye 4 satellite ka upyog karata hai, jisase user ki  dimensional position(latitude, longitude and altitude line) ka pata chalata hai.ek bar GPS system ko GPS device ka location pata chalane ke bad wo device ki doosari jankari find karta hai jaise ki usaki speed, distance, doosare location se distance.

Types of GPS in Hindi : GPS Kitne Prakar Ka Hota

 A. Hot Start  GPS:
Agar GPS ko apni aakhiri position Or satellite Ke sath hi UTC time pata hai. To ye usi saite lite ki help leta hai. Or uplabdh jankari Ke hisab se nai position ka pata lagata hai. Ye kary pardnali Is aapke position par nirbhar karti hai. Agar GPS receiver pahele wali location ke aas pass hai to tracking bahut jaldi aur asani se ho jati hai.
B. Warm Start GPS
Isme GPS receiver pahle wali GPS satellite ke alawa Purani jankari yad rakhta hai. Or iss parkar Receiver ka pura data Reset kar deta hai. Or new position pata karne ke liye satellite signal ka istemal karta hai. Halanki ye satellite khojta hai. Lekin isko saite satellite ki jankari jald hi mil jati hai. Or ye hot start se slow hai lekin utana bhi slow nahi hai.
C. Cold Start GPS
Is istathi me Me koi bhi jankari nahi hoti. Isliye device sabhi tarah ki jankari jaise  GPS satellite, Position etc Ka pata lagana shuru karta hai. Isliye isme position pata karne me kuchh zyada hi time lagta hai.
GPS ka use pahle military me hota tha. Magar baad me ise Aam aadmi ke liye bhi shuru kiya gaya aur  tabhi se isse kai jagah  use kiye jane laga hai.
Example Ke Liye – Astronomy, Cartography, mobile phones, jio tagging, Fleet tracking, Jio facing, Gps Air Craft tracking, Emergency services, Robotics Sahit kai jagaho par isaka use hota hai.
D.  A-GPS ( Assistant GPS)
Iss tarah ke gaps ka use GPS hi Based  positioning System ke start hone wale time ko low (kam) karne ke liye kiya jata hai. Jab signal kamjor yani ki weak hota hai to A-GPS receiver ko lock karne Me help karta hai. Aisa karne ke liye mobile phone me network connection ki Zarurat padti hai. Because A-GPS Assistant Server ka use karta hai.
E. S-GPS (Simultaneous GPS)
gps kya hai – GPS kitne Prakar Ka hota hai – what is GPS in Hindi- Hindi me GPS ki Jankari
Ek network Carrier ke liye Satellite based Reporting ko sudharne ke liye Ye tarika use kiya jata hai. S-GPS se hi mobile phones Ko GPS aur  Voice data Dono ek hi time par milte hai. Iski madad se hi Network provider Location ke basis par service de sakte hai.

GPS Use kaise kare

Dosto Finally ye jaanne ke baad ki GPS kya hai ,ye bhi jante hain ki GPS Use kaise kare. GPS ko use karna behad Asaan Hota hai. Koi bhi GPS Featured wale Mobile Phone ya Tablet me jaa ke GPS ko sirf On Karna hota hai. Dhyan rahe chunki GPS live kaam karta hai is liye battery ka consumption Zyada hota hai matlab Aapke device ki battery bahut jaldi khatm ho jaayegi. Bina wajah GPS ko On na kare to behtar hoga.

Agar Aap ko Ye Post Pasand Aayi Hoto Plz Is Post ko Apne Friends ke Beech me Share Zaroor Kare . Agar Aap Ke Paas Koi Sawal Ya Sujhav hai to Niche Diye Gaye Comment Box me Likhe. Hame Bahut Khusi Hogi –

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top